Friday, September 2, 2016

Maa...

Today is my mom's birthday. I wrote a poem for her on Facebook. Sharing here to keep it safe as a memory.. I love you Maa..



Mujhe yaad nahi mera wo rona aur aapka mujhe dularna,
Mujhe yaad nahi mera wo hasna aur aapka mujhe dekh muskurana…
Mujhe yaad nahi wo kayi raatein jab maine aapko sataya hoga,
Mujhe yaad nahi wo saare din jab maine aapko rulaya hoga..
Mujhe yaad nahi aapka wo haath jala kar mere liye roti sekna,
Mujhe yaad nahi aapka mera khana thanda hua dekhne ke liye muh jalna…
Mujhe yaad nahi aapka wo raat bhar mere saath imtehaan mein jagna,
Mujhe yaad nahi aapka wo apna pasandeeda TV serial mere liye tyagna…
Maa mujhe wo sab yaad nahi jo aapne mere liye kiya hoga,
Maa mujhe wo sab yaad nahi jo aapne mere liye saha hoga..
Par mujhe yaad hai, aapka wo mujhe daantna,
Mujhe yaad hai fir roke gale lagana..
Mujhe yaad hai office jane se pehle aapka daud ke mujhe “Roti wrap” pakdana
Mujhe yaad hai aapka mere liye doodh mein haldi milana…
Mujhe yaad hai aapka mere liye chawal chupana,
Mujhe yaad hai, aapka mere mobile ka chupke se recharge karwana…
Mujhe yaad hai aapka mere wo ‘rebel’ wale dinon mein chup beth jana,
Mujhe yaad hai fir mujhe baat baat par papa se bachana…
Mujhe yaad hai aapka mujhse rooth jana,
Mujhe yaad hai fir mera aapko haath se bana card dekar manana…
Mujhe yaad hai jab meri shaadi pakki hui to aap kitni khush hui thi,
Mujhe yaad hai dil hi dil aap thoda sa royi bhi thi…
Mujhe yaad hai meri shaadi pe aapki TRC se ghar ki daud..
Mujhe yaad hai aapke kamar ka dard aur peron ki modh…
Maa mujhe yaad hai aapka mujhe vida karke apne aansu chupana,
Kabhi nahi bhoolungi wo ghar ke neeche ki sadak par se aapka mujhe haath hilana…
Aapke saamne to main bhi nahi royi thi,
Par aapko nahi pata fir main kitne din nahi soyi thi…
Maa aapse hi main hun, mera astitva hai,
Maa aap hi meri laxmi, meri devi, meri guru hain…
Ab jab aapse door hun tab ye samajh aata hai,
Maa ka pyar, maa ka gussa sab kuch kitna bhata hai…
Jab Maa nazdeek hoti hai, tab nahi dikhta,
Maa ka hi bas pyar hai jo duniya mein aur kahin nahi milta..
Aaj aapke janamdin par main aapko bahut sneh bhej rahi hun,
Cake to nahi bheja par dher sara pyar bhej rahi hun…
Aaj birthday gift mein bas ye kavita hi likh payi,
Jab milungi tab poochiyega, ‘Bas poem? Mere liye to Bangalore se silk ki sari nahi layi?”

No comments:

Post a Comment

Enough with the W omen & household

Recently I came across this comic . And   I started to think, w hy are such comics made? So many articles written? So many debates happen?...