Thursday, April 7, 2011

Champu


Pareshaan thi Champu ki wife
Non-happening thi jo uski life
Champu ko na milta tha aaram
Office main karta kaam hi kaam

Champu ke boss bhi the bade cool
Promotion ko har baar jate the bhul
Par bhulte nahi the wo deadline
Kaam to karwate the roz till nine

Champu bhi banna chata tha best
Isliye to wo nahi karta tha rest
Din raat karta wo boss ki gulami
Onsite ke ummid main deta salami

Din guzre aur guzre fir saal
Bura hota gaya Champu ka haal
Champu ko ab kuch yaad na rehta tha
Galti se Biwi ko Behenji kehta tha

Aakhir ek din Champu ko samjh aaya
Aur chod di usne badhne ki moh maya
Boss se bola, "Tum kyon satate ho ?"
"Appraisal ke laddu se buddu banate ho"

"Promotion do warna chala jaunga"
"Bimar parhe kabhi wapis na aunga"
Boss haans ke bola "Nahi koi baat"
"Abhi aur bhi Champus hai mere paas"

"Yeh duniya Champuon se bhari hai""Sabko bas aage badhne ki padi hai"
"Tum na karoge to kisi aur se karaunga"
"Tumhari tarah Ek aur Champu banaunga"

Cheers!
:)

Enough with the W omen & household

Recently I came across this comic . And   I started to think, w hy are such comics made? So many articles written? So many debates happen?...